Hamd (Urdu)
Sadd shukr Elahi ! keh main masroof-e-Sana hon
Tauseef mein har waqt teri naghma sarra hon

Hai tera he jalwa mrey qalb aur nazar mein
Jalwaun pe tasadduq hon trey, tujh pey fida hon

Allah ki rahmat ka sadda saya hai mujh par
Logo! Main faqat khogar-e-tasleem-o-raza hon

Hon tujh se talabgar main bakhshish ka Elahi
Ik banda-e-Aasi hon main, Sar ta pa khatta hon

Saadi (R.A) hon na Hafiz (R.A) hon na Jami (R.A) hon na Hali (R.A)
Ik banda-e-Aajiz hon, Faqeer-ul-fuqara hon

Main kia hon bhala aur hai kia meri haqeeqat
Mehboob ki chokhatt ka main adna sa gada hon

Dooba rahey dil mera sadda zikr-e-Khuda mein
Kaifi main sadda karta ye din rat dua hon

- Hamd Number 2
- Page Number # 76 -77
- Book Name: Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
- Written and Read by Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi Qadri Awaisi (Naatia Poet)

- Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
Available at: https://drive.google.com/file/d/1XpQd1aG_1SLMA7Fbb4SvBsgC989Qidg6/view